Ek roz main chala jaaonga
aur bas yaadon me reh
jaaonga..
Tum jo karti ho mujhpe
sitam shaam-o-sahar
Ek roz mujhe kho dogi aur
main nahi aaonga..
Main to panchi hun, kon
sarhad rokegi mujhe
Sayyad se keh do qafas tod
ke udd jaaonga..
Main to mehfil me hun jalti
hui shama ki tarah
Subah hone se pehle main
jal jaaonga..
Tum jo karti ho tadbeerein
mujhe mutthi me band karne ki
Main khushboo ki maanind
fizaaon main fail jaaonga..
Tumko bhi aaegi meri yaad
kabhi aur mujhko bulaogi tum
wo din mere honge, aur main
tumhe tadpaaunga.!!
No comments:
Post a Comment