Friday, 27 July 2018

Ek roz main chala jaaonga ...




Ek roz main chala jaaonga
aur bas yaadon me reh jaaonga..

Tum jo karti ho mujhpe sitam shaam-o-sahar
Ek roz mujhe kho dogi aur main nahi aaonga..

Main to panchi hun, kon sarhad rokegi mujhe
Sayyad se keh do qafas tod ke udd jaaonga..

Main to mehfil me hun jalti hui shama ki tarah
Subah hone se pehle main jal jaaonga..

Tum jo karti ho tadbeerein mujhe mutthi me band karne ki
Main khushboo ki maanind fizaaon main fail jaaonga..

Tumko bhi aaegi meri yaad kabhi aur mujhko bulaogi tum

wo din mere honge, aur main tumhe tadpaaunga.!!

Jeevan

Jeevan k sach ko wo kya jaane
Jo sada chala roshan suraj tale..
Maza to tab hai jab raah ho kathin
Aur paan pathrili path pe chale.

Jeevan me khushi to bijli si hai
jo aae aur chal jaaye
Hai saath mushkil sada rahegi
Tu muskura to wo bhi tal jaaye..

Insaan hai majboor bada
ke kuch nahi iske bas me
Tu muskura har haal me
Ke yahi hai jo kuch tere bas me..


Tere marne se kya hoga
Kuch aankhe nam, kuch din kare
Tu jee jivan aur kuch aise jee
Har lab tere jeene ki dua kare..

Ho har pal tera jeevan aisa
Sab dua kare na kabhi khatam ho
Ke jab teri saanse thame
Tu muskura sab aankhe nam ho.!!

Khushi



Hai mausam bhi khush aur ye hawa bhi khush
Khush hai yahan parinde aur ye jahan hai khush..

Khushiyaan bikhri hui hai ird-gird mere
Aur yunhi baras rahi hain charao ore..

Ye ghata jo aarahi hai maghib se, samate khushiyon k badal
Aur barsegi isse baarish jo kar degi sab ko khush..

Par na jaane ye kyu mujhse khafa hai
Aur khafa rakkha hai isne badal ko mujhse..

Main is baarish se pare ghar k andar baitha hun
Aur baandh rakha hai mujhe gham ne, main isme simat kar baitha hu..

Ae hawa sath de mera, pahuncha mujh tak badal koi
Jo de mujhe khushi aur kar de mujhe bhi khush..

Ye ghata mujhse bewajah hi khafa hai, Kare meri sifarish koi
Ke main hun tanha 0 afsurda, Kare meri bhi diljoi koi.

Nahi hai wo shaks bhi jo kabhi deta tha mujhe qarar
Nahi hai wo pal jo kabhi kar dete the mujhe khush.

Ae barish tu to hamare sath ki mehram hai
Tune dekhi hai har chaal aur haal hamari..

Ke tu na ab uski tarah rang badal, na badal apni raah
Wo to shaks tha ke badal daali, usne har chaal aur apni har raah..

Tu na kar mujhpe sitam aur palat aa mujh tak
Yun baras jaise kabhi barsa karti thi mujhpe..

Aur barsa us badal ko jo samate hai khud me khushiyaan
Ke de baarish wo mujhe khushiyon ki aur kar de mujhe bhi khush!!


Na kisi se gila na hai shikayat koi..




Na kisi se gila na hai shikayat koi..
Mujhe nafrat na do, kare mohabbat koi..

Log milte hai mujhse bade siyaasi andaaz me..
Chor ye duniyadari, kar sharaarat koi..

Jo haal hai mera, so to ab hai hi..
Dil chahta hai na pooche tabiyat koi..

Haal pe mere log tanz karenge hi..
Tu na koi wazahat kar, Na ho hariat koi..

Din Dhalta hai yunhi har roz, na jane kyun..
Chahta hun karun aaj teri shikayat koi.!!

Wednesday, 25 July 2018

Aa bewafa...





Aa bewafa, wafa nibhane ke liye aa..
Bewafaai k lage daagh mitaane ke liye aa..

Bahot khamosh reh liya main in dino..
Tu mujhko fir se satane ke liye aa..

Aansoon sookh chuke hai, Aankh khushk hai..
Aa tu fir se mujhe rulane ke liye aa..

Waqt har zakhm bhar deta hai, ye sach hai..
Tu bhare zakhmo ke daag mitane ke liye aa!!

Tuesday, 24 July 2018

Kya apni baat likhu....


Hae kya baat likhun, Kya halaat likhun
Main rezza rezza hun, kya haal likhun..

Kis se karun shikwa, Kis kis ka ab main naam likhun
Main hu majboor bada, Isse zyada kya ab halaat likhun..

Har shaks hai uljha apne maslo me,
Main kya apna dukhda roun, Kya apni baat likhun..

Jo bhi dhokha khaya hai maine wo apno se,

Dhushmano ki main ab kya chaal likhun..

Kaun le zimmedari meri is tanhayi ki,

Main is tanhai ka tum pe kya ilzaam likhun..

Lamha lamha tadpa hu main jis k liye,

Main un lamhon ka kya ab hisaab likhun..

Tu jise wafa ka putta samajhta hai 'Athar',

Us shaks ki main kya ab misaal likhun.!!


Shayad



Shayad ho uski koi majboori 
jo ikhtiyaar ki usne mujhse doori..

Hoga seene me uske bhi dard kabhi

hum ye na jaan sakenge kabhi..

Fir bhi hum usko yaad karenge

yaad me uski sada rahenge..

Wo chala gaya to chala gaya

de ke yaad wo chala gaya..

Ja jane waale door kahin 

hum to hai sada yahin..

Jo yaad hamari aa jaye

aur laut ke tu aa jaye..

Na mar jaanye ye soch k hum

ja chala ja na de aur tu gham.!!

Sunday, 22 July 2018

Ye chand mera raazdaan hai....


Ye chand mera raazdaan hai

Ke isne dekha hai sisakhna mera
Aur dekha hai tanha raaton me jagna mera..

Ye gawah hai raat ki taarikiyon ka
Aur us taariki me tere tassawur me bilakna mera..

Ye to mehram hai lamhaat-e-gham ka mere
Aur dekha hai isne saari raat tadapna mera..

Tu ye raaz faash kar de mera kabhi
To jhoot samjhege ye log hasna mera..

Aur mera bhari bazm sabko hasana

Aur jhoot samjhenge wo naghme gungunana mera..

Ae chand ye iltijah hai meri

raaz ko raaz hi rakh bacha le mujhko..

Mar jaaega 'ATHAR' ilzaam-e-munafiqat pe

Tu to jaanta hai mijaaz-e-naazukana mera.!!




Ek roz main chala jaaonga ...

Ek roz main chala jaaonga aur bas yaadon me reh jaaonga.. Tum jo karti ho mujhpe sitam shaam-o-sahar Ek roz mujhe kho dogi au...